Sab aadaten chhor sakta hun tumhare liye, Tumhare siwa.
Baat baat par ye muskuraate ho kyon baar baar,
jaan lene ke aur bhee tareeke hain hazaar.
Uff wo naram labon ka mere labon ko choomkar kahna, "ho gai subah, koi dekh na le" abto chale jao.
Wo paththar dil he sahi magar hamar ye daawaa hai, Hamare lab jinhen chhoolen wo paththar bol uthte hain.
Manga jo bosa(Kiss) to wo muskara k kah dia, So baar lejiye amaanat hai aapki.
Khoobsoorat to pahle bhi bahot tha wo shakhs lekin, Hamne chaha to ajeeb dhang se nikhara hai wo.
Ho Jaye Guftagoo agar teri nigaahon se abbas, teri saadgi ki, kasam ham zabaan se kalaam karna chhor dengey.
Kabhee na jhuke kisee ki vafa kee aage,
khuda kare tere husn ko vo makaam haasil ho.
लगा कर फूल होठों से
उसने कहा चुपके से
अगर कोई पास न होता
तो तुम फूल की जगह होते